Aatmbodh / आत्मबोध

Aatmbodh / आत्मबोध

Paperback (16 Mar 2022) | Hindi

Not available for sale

Includes delivery to the United States

Out of stock

This service is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

Publisher's Synopsis

Bharat ki samast daarshnik vichaardhaaraon ka srot Vedant hi hai. Vaidik kaal ke pashchaat jab dharm ka kendr Vedant se hatkar maatr karmkaand reh gaya tha, tab Vedant ko punarjaagrat Guru Adi Shankaracharya ne kiya.

Adi Shankracharya ne Vedant ke sabhi granthon par teekaein likhin aur kayi granthon ki rachna bhi ki. 'Aatmbodh' Adi Shankaracharya dwara rachit un granthon me se hai jo ek shuruati sadhak ko aatm-sakshatkar ke path par aage badhne me madad karta hai.

Aatmbodh ka shabdik arth hota hai 'svyam ko jaanna'. Humare sare kashton aur dukhon ke mool me yahi karan hai ki hum svyam se poori tarah anabhigya hain. Hum apne-aapko vahi maane baithe hote hain jo pehchan humein smaaj aur paristhiti se mili hoti hai.

Vedant satya ke anveshan hetu abhi tak ki sarvshreshth rachna hai, par veh humare liye upyogi ho sakte iske liye avashyak hai ki uski vyakhya bhi humare kaal aur sthiti anusaar ho. Yeh pustak mool 'Aatmbodh' ke kendriya shlokon par Acharya Prashant dwara kiye gaye bhaashyon ka sankalan hai. Yeh pustak aatm ko bodh ki or unmukh karne ka ek prayas hai.

Book information

ISBN: 9798886297911
Publisher: Repro Books Limited
Imprint: Notion Press
Pub date:
Language: Hindi
Number of pages: 140
Weight: 159g
Height: 203mm
Width: 127mm
Spine width: 8mm